Posted in

100 Happy New Year Dua Best Collection For 2025

Happy New Year Dua
Happy New Year Dua
Happy New Year Dua

Nayi shuruaaton aur behtareen iradon ka sochna zaruri hota hai. Naye saal ki shuruaat karne ka sabse acha tareeqa hai ek dil se nikli hui dua. Humne aapke liye 100 behtareen New Year dua ka collection tayar kiya hai, jo Roman Urdu me likhi gayi hain taake aap asaani se parh aur yaad kar saken. Chahiye aap success, sehat, ya khushi ke liye dua kar rahe ho, yahan har zarurat ke liye ek perfect dua milegi. Yeh chhoti magar taqatwar duas aapke saal ko positivity aur shukrana dil ke saath shuru karne me madad karegi.

Top 100 Happy New Year Dua in Urdu for 2025

2025 bohot kareeb hai aur yeh waqt hai apni naimaton par shukr ada karne ka aur umeed aur shukrana ke jazbaat ke sath mustaqbil ka samna karne ka. Naye saal ka khush-amhadid karne ka sabse behtareen tareeqa hai dil se nikli hui duas.

Yahan 100 khubsurat aur dil ko chhoo lene wali naye saal ki dua 2025 ka best collection hai jo aapko motivate karein aur aapki rooh ko tasalli dein:

  1. “Allah, guzishta saal ki nehmatoon ka shukriya aur aane wale saal mein barkat ki dua.”
  2. “Naya saal aapko mubarak ho, Allah hamein ziada se ziada nekiya karne ki taufeeq de.”
  3. “Ya Rab, is naye saal me hamari zindagi pyar bari khushiyo aur sukoon se bhar de.”
  4. “Ya Rab-ul-Alamin, is naye saal mein pori duniya ke har hisse me aman-o’sukoon, aur khushhali lekar aa.”
  5. “Ya Allah, humari har nazre bad se hifazat ata farma aur is naye saal hamesha ki tarha apni hifazat mein rakh.”
  6. “Ya Rab-ul- alamin, hamari sari duaon ko jo humare hak me bhetar ho is saal qabool kar le aur har aney wali mushkilo ko asaan kar.”
  7. “Allah, is saal mein humein apni marzi ke mutabiq chalne ki taufeeq de.”
  8. “Ya Rab naye saal me humein bhetar faislay jo humare hak me bhetar ho onhe lene ki samajh ata kar aur himmat de.”
  9. “Ya Allah, is saal hum sabko apne piyaro aur aziz logon ka saath naseeb farma.”
  10. “Ya Qadir, is saal humko sachai ke raste par chalne ka hosla aur toufeeq dedey.”
  11. “Allah, is naye saal mein apne bando ko har kism ki burai aur afat se mehfooz rakhna.”
  12. “Allah, is saal mein humein borai se bacha aur nek amal karney ki sadat ata farma.”
  13. “Allah, is naye saal humein har choti bari pareshani se nijat de.”
  14. “Ya Khaliq, hum sab ko is naye saal ki shuruaat mein khoob kamyabi se nawaz de.”
  15. “Ya Allah Tala, is naye saal mein hum sabko apne deen se ziyada nazdeek kar de.”
  16. “Allah, humko is saal tamam zarurato ka khob behtareen hal ata farma.”
  17. “Allah, is saal humein apne dosto sath aur ghar walon ka pyar, mohabat ata farma.”
  18. “Ya Allah, hum sabko is saal apne haqooq aur doosron ke huqooq achi tarha se pore karne ki toufeeq de.”
  19. “Ae Allah, is saal humsab ko nek kamo ki soch aur achi aadato se nawaz de.”
  20. “Ya Rabb, ye naya saal sab ko har mushkil se bacha aur zindagi asani paida kar. Ameen.”
  21. “Allah Taala, is saal tamam logo ko sehat-o-tandrusti aur khushiyan ata farma. Ameen.”
  22. “Ya Rab, hum logo ko apni rehmat our shafqat ke saaye mein rakhiyo aur hamesha hidayat dijiyo. Ameen.”
  23. “Allah, hamare ache khowabo ko poora kar aur har kaam mein barkat dal de. Ameen.”
  24. “Ya Rahman, humein neki ke raaste par chalne ki taqat aur taufeeq de aur buri aadaton aur bato se bacha. Ameen.”
  25. “Allah, hamari aur hamare pyaro ki jholi ko hamesha khushiyo se bardhe aur rishton mein pyar mohabbat paida karde. Ameen.”
  26. “Ya Noor, zindagi ke tamam andheron ko ujalo mein badal de aur har taraf khushhali hi khushali karde. Ameen.”
  27. “Ya Allah, mujhe aur meri family iss naye me sehat aur taqat se nawaz, aur har saal hamesha humare saath rah. Ameen.”
  28. “Ya Allah, mere dil ko is aney wale saal me khushi aur sukoon se bhar de, aur zindagi ke har mod par humari rehnumai farma. Ameen.”
  29. “Ya Allah, mujhe is saal har kaam me kaamiyabi ata farma, aur mere iraadon ko hamesah ki tarha safal bana. Ameen.”
  30. “Ya Allah, meri family ko iss naye saal har buri cheez se mehfooz rakh, aur unke beech mohabbat aur ittehad barqarar rakh. Ameen.”
  31. “Ya Allah, tune mujh ko jo kuch ata kia us par tera shukr ada karta hoon. Naye saal mein bhi apni rehmato aur barkato ka silsila mujh par jari rakhiyo. Ameen.”
  32. “Ya Allah, har andhera sab par se roshan kar aur hume har mushkil se nikalne ki himmat de. Naye saal mein rehmat aur barkat ki barish barsa. Ameen.”
  33. 2025 aapke maqsadon ko haqiqat banane ka saal ho aur aapko Allah ki rehmat aur barkat ke kareeb le aaye.
  34. “Allah ka shukar hai ke usne hamko ye ek aur neya saal ata kar dia”
  35. “Ya Allah tera shukar ada karta ho ke tune hume ye naya saal dekhne ke liye zindagi di. Is naye saal mein hamari zindagi khob khushiyon aur barakato sey bhar do. Ameen.”
  36. “Allah, is naye saal mein me aapki har nemat, rehmat aur barkat ka tujhse shukar ada karta ho. Humein aage bhi apni beshumar nemato se nawaze rakhna.”
  37. “Ya Allah, is naye saal mein hamare rizq mein aur maal me barkat ata farma”
  38. “2025 aapke liye khushi, kaamyabi aur sakoon se bharpoor ho. Har mushkil asan ho, har dua qabool ho, aur har din naye umeed ke sath shuru ho.”
  39. Naya Saal Mubarak Ho! Duaon ke sath, Aapka Safar Hamesha Roshan Rahe.
  40. “Ya Allah, naye saal 2025 mein hamesha mujhe apni nek raah par chalne ka hosla aur himmat dena. Ameen.”
  41. “Ya Allah, naye saal mein me hamesha sidq aur hidayat ki raah par chalo teri toufiq se. Ameen.”
  42. “Ya Allah, is naye saal 2025 mein mujhe aur meri pyari family ko achi sehat aur dil ka sukoon ata karde. Ameen.”
  43. “Ya Allah, is 2025 mein har dil ko sukoon aur duniya ko aman hi aman se bhar de. Ameen.”
  44. “Ya Parwardigar, naye saal mein mujhe sehatmand aur kaamyabi ki manzilo tak pohochne ki taqat de. Ameen.”

Yad rakhein, dua ki taqat bepanah hai. Chahiye aap apni zati taraqqi ke liye dua kar rahe ho, family mein ittehad chahte ho, ya puri duniya mein aman ke liye dua kar rahe ho, yeh dua for new year 2025 ka collection aapki sabse gehri khwahishat aur umeedon ko izhar karne ka behtareen zariya hain.

Apne doston aur family aur loved ones ke liye aur behtareen dua ya wishes ke liye dekhein Heartfelt Wishes for 2025.

About: New Year Dua and islamic new year dua

Jese hi 2025 ka aaghaz hota hai, har insaan apne liye ek acha shuruaat ka sochta hai. Musalmanon ke liye ek khubsurat riwayat hai naye saal ka aaghaz Allah se dua karke karna, jo rehmat aur hidayat ki talash ka zariya banti hai. Chahe aap Gregorian calendar ke mutabiq naye saal ka jashan mana rahe ho ya Islamic new year ka, yeh dil ko tasalli dene wali duas aapki zindagi mein umeed aur barkat la sakti hain.

  • Apne jazbaat ko aur khaas banane ke liye WhatsApp ya social media par beautiful Urdu calligraphy images ke sath in duas ko share karein.
  • Agar dua zyada personal ho, toh ek handwritten note ya voice message bhejna zyada asar kar sakta hai.

Naye saal ke liye aur bhi bohot kuch humarey pas hain apke liye jese dil chhoo lene wali best new year wishes aur khush kerdene wali new year images specially new year 2025 ke liye tayar ki gai hain aur ye new year wishes in hindi, english aur urdu me mojood hain humari niche di gai posts me jo ap yaha se visit kar sakte hain:

Finding the perfect happy new year dua for 2025

Jese hi hum 2025 ka intezar karte hain, zaroor aap apne doston aur family ke liye ek khaas aur pyari dua ka soch rahe honge jo unke dil ko choo jaye. Chahe aap ek roohani Urdu dua chahein ya thodi modern tarz ki happy new year dua in Urdu, sabse zaruri hai ke woh alfaaz ho jo dil se nikalte hain aur dil tak pahuchte hain.

Agar ap Islami Duas dekhna chatey hain to explore karein Best Islamic New Year Dua apni duaon ko aur behtareen banayein.

Here are beautiful new saal ki dua 2025 to inspire you and your loved ones.

  1. “Ya Allah, is naye saal mein humein seedhe raaste par chalne ki taufeeq de. Har qadam par kamyabi ata farma. Ameen.”
  2. “Allah Taala, hum sab ko sehat-o-tandrusti ata farma. Is naye saal mein jismani aur ruhani sehat se nawaz. Ameen.”
  3. “Ya Razzaq, hamare rizq mein barkat ata farma. Is naye saal mein halal aur aasan rozi se nawaz. Ameen.”
  4. “Allah humein aur poori duniya ko aman-o-sukoon ata farma. Is naye saal mein har taraf khushhali ho. Ameen.”
  5. “Ya Allah, is naye saal mein humein har chhoti badi mushkil se bacha aur har mushkil ko asaan bana. Ameen.”
  6. “Ya Ghaffar, humare gunahon ko maaf farma aur is naye saal mein humein apni maghfirat aur rehmat ke saaye mein rakh. Ameen.”
  7. “Ya Shafi, jo log bimariyon mein mubtala hain, unhein sehat-e-kamil ata farma aur unke dukh door farma. Ameen.”
  8. “Ya Qadir, humein is naye saal mein apne faislon par raza-mand rakh aur hamesha sabr aur shukr ki taufeeq de. Ameen.”
  9. “Ya Karim, is naye saal mein humare rishte aur mohabat mazboot farma aur hamesha humein ek dosray ka sahara banne ki taufeeq de. Ameen.”
  10. “Ya Noor, humare dil aur zindagi ko apne noor se roshan farma. Is naye saal mein humein har andhere se bacha aur roshni ki taraf le ja. Ameen.”

Here’s a collection of heartfelt new year duas to inspire hope and joy.

  1. “Allah, is naye saal mein hamari zindagi ko barkat se bhar de.”
  2. “Rab, hamen is saal khushiyon se nawaz.” 
  3. “Naya saal mubarak ho, Allah aapko kamyabi ata farmaye.” 
  4. “Ya Allah, is naye saal mein humein har gum se mehfooz rakh aur khushiyon ka zariya bana. Ameen.”
  5. “Rab-ul-Alameen, humein is saal mehnat karne ki taufeeq de aur uska behtareen sila ata farma. Ameen.”
  6. “Ya Allah, hamari zindagi mein izzat aur barkat barqarar rakh aur har mushkil ko asaan bana. Ameen.”
  7. “Ya Rahman, humein apni rahmaton aur inayaton se har waqt nawazta reh. Is saal mein hamesha apne qareeb rakh. Ameen.”
  8. “Ya Malik, is naye saal mein hamare rishton mein mohabbat aur samajhdaari barhaye. Ameen.”
  9. “Ya Basit, hamare sapne poore farma aur humein hamesha haq par chalne ka hosla de. Ameen.”
  10. “Ya Allah, har us shaks ki madad kar jo pareshani mein hai aur humein unka sahara banne ki taufeeq de. Ameen.”

Here are beautiful new year dua in urdu to set a positive tone for the year ahead.

  1. “Ya Allah, is naye saal mein humein seedhe raaste par chalne ki taufeeq ata farma.”
  2. “Allah Taala, 2025 ko humare liye khushhaali aur barkat ka saal bana de.”
  3. “Ya Rabb, is naye saal mein humein ilm aur hikmat se nawaz.”
  4. “Ya Allah, is naye saal mein humein har buri adat se nijat de aur acchai ki taraf le ja. Ameen.”
  5. “Ya Rahim, 2025 mein humein apne karam aur rahmat se mehfooz rakh aur har mushkil se nikalne ki quwwat de. Ameen.”
  6. “Ya Kareem, humein is saal mehnat karne ki taufeeq de aur har qadam par kamyabi ata farma. Ameen.”
  7. “Allah Taala, is naye saal mein humein sabr aur shukr ki aadat ata kar aur har halat mein razi rakh. Ameen.”
  8. “Ya Noor, hamari zindagi ke andheron ko apni roshni se roshan kar aur hamesha hidayat ka safar asaan bana. Ameen.”
  9. “Ya Qadir, humein is saal mein apni rehmat ka haqdaar bana aur har kaam mein barkat de. Ameen.”
  10. “Ya Wadood, is naye saal mein hamare rishton mein mohabbat aur ek dosray ke liye samajh barhao. Ameen.”

Here are beautiful new year duas can help you start the year on seeking, blessings & guidance for the months ahead.

  1. “Allah, is saal ko hamary liye barkat aur khushhaali ka saal banaye.”
  2. “Ya Allah, naye saal mein hamein apni rehmat se nawazein.”
  3. “Allah, hamein seedhe raaste par chalne ki taufeeq ata farmaye.” 
  4. “Ya Allah, is saal hamein har burai se mehfooz rakhein.”
  5. “Allah, is naye saal mein hamein ilm aur hikmat se nawazein.”
  6. “Ya Allah, hamein apne deen par mazbooti se qaim rahne ki taufeeq dein.”
  7. “Allah, is saal ko aman aur bhai chaare ka saal banaye.”
  8. “Ya Allah, puri duniya mein aman qaim farmaye.”
  9. “Allah, hamare pichle saal ke gunahon ko maaf farmaye.” 
  10. “Ya Allah, is naye saal ko hamary liye nai shuruat ka zariya banaye.”

Conclusion

Jese hum apni 2025 ki 100 Happy New Year Dua ki collection ka ikhtitam karte hain, humein ummeed hai ke aapko woh alfaz mil gaye hon jo aapki duaon aur jazbat ko behtareen tareeqe se izhar kar sakein. Chahe aap ek apne pyare ko ek heartfelt message bhejna chahte ho ya apni khud ki duaon ke liye inspiration talash kar rahe ho, yeh duas har ek ke liye kuch khaas rakhti hain.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *